Haiz (Mahwari) Ki Bandish Ka Desi Ilaj

By | September 8, 2019

Girls problems main jo sab sy zyada pany wala masla hai wo hai haiz ke masail, haiz yani mahawari yap her ap isy dates bhi kehti hain is ke masail ajkal buhat zayda samne arhy hain q k khorak me is qadar milawat hai k bachio k andar ke nizam dharm bharm ho rahy hain khud bhi kuch laparwaiyan karti hai larkiyan jis ki waja se bhi masail janam lety hai Article ko pora zaror parhen aj main apko ahm malomat se agha karungiHaiz Kiya Hai???

Har 13 se 14 sal ki bachi jo haiza hojati hai us ke dil main ye sawal paida hota hai qk wo balogat ki umer ko ponch jati hain jesy ke khoraq ka sahi na hona bachio ko bht jald mahwari ki taraf la raha hai.

Haiz wo napak khon hain jo vagina se kharij hota hai ye har aurat ko ata hai or is ka hadees me bhi zikar hain k hawa ki har beti ko haiz ana mumkin hai ye ek napak khon hain jis se aurat namaz,

quran kalma wagera nahi parh sakti jab tak muqrara din pory na hojye haiz ki date 7 se 10 din tak hoti hai pher naha ke pak hona hota hai agar apko 1 din ya 3 din ya pory 7 din ya pory 10 din,

bhi jo khon araha hai haiz hai aksar bachio ke mjhy msg aty hain k hamain serf ek dot aya hai to ap ye jan le k ye bhi haiz haiHaiz Ruk Jayen To Kia Karen???