(Kalma Ki Fazilat) main Hazoor Pak (S.A.W) ka irshad hai k is Pak zaat ki qasam jis k qabze main meri jaan hain. Agar tamam Asman o Zameen aur jo log un k darmian hain. wo sab aur jo cheezain un k darmian hain wo sab kuch aur jo kuch un k nechay hain. wo sab ka sab aik tarazu main rakh dia jae aur dosray tarazu main la ilaha illallah kalma ka iqrar. To kalma tayyaba walay tarazu ka wazan barh jaega.
Hazoor Pak (S.A.W) nay farmaya k marnay walay ko kalma sharif la ilaha illallah ki talqeen kiya karo. Jo shakhs martay waqt kalma la ilaha illallah kehta hai.
To us k liye is pak kalmay ki barkat se jannat wajib ho jati hai. Sahab (R.A) nay arz kiya Ya Rasool Allah (S.A.W) agar koi tandrusti main kalma shareef parhe to phir.
kalma tayyaba la ilaha illallah ki fazilat aur barkat kiya hai. To (Kalma Ki Fazilat) Hazoor Pak (S.A.W) nay farmaya phir to jannat aur bhi ziada wajib hai us par.
Sheikh Abu Yazeed Qartabi farmatay hain k main nay suna jo Shakhs 70,000 martaba pehla kalma la ilaha illallah parhe. Usko dozakh ki aag se nijat mile. Main ney ye khabar sun kar aik nasab yani 70,000 martaba kalma sharif apni wife k liye parha.
Main ney ye khabar sun kar aik nasab yani 70,000 martaba kalma sharif apni wife k liye parha.Aur la ilaha illallah k bohat se nasab apnay liye parh kar zakheera akhirat banaya.
Phir farmaya k hamare pas aik nojawan rehta tha jis k mutaliq ye mashoor tha. k yea sahib e kashf hai isay jannat o dozakh ka kashf hota hai. Aur kaha mujhe is main kuch taradud tha.