Huzur ﷺ ke dunya me aane se pehle jis tarah log aur bahut saari buraaiyan karte the usi tarah apne maa baap ke saath bhi bada ghatiya sulook kiya karte the.Un ke bure sulook ka andaaza is baat se lagaya jaa sakta hai ki:Jab us zamaane me kisi ke baap ka inteqaal ho jaata tha toh us ke bete jab apne baap ke maal aur daulat ko aapas me baant te the to
“Maa” ko bhi ek maal samajh kar baant lete the aur “Maa” jis ke hisse me aati thi to woh ya to khud apni maa se shadi kar liya karta tha ya use bech kar maal aur daulat haasil kar liya karta tha.(Tauba)Huzur ﷺ ne dunya se in tamaam buraaiyo ko khatam farmaya.
Aur logo ko maa baap ka sahi maqaam aur martaba bataya: Aap sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: Tumhare maa baap tumhare liye jannat bhi hain aur dozakh bhi hain.Yani unki izzat-o-ehteram aur khidmat karna tumhare jannat,
me jaane ka sabab hai aur unki beizzati aur naa-farmabardari karna tumhare dozakh me jaane ka sabab hai.(Ibn-e-Maja,hadiss No.3662)Aur Aap sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:
ki us shakhs ki naak mitti me mil jaae aur woh zalil ho jaae jo apne maa baap dono ya ek ko budhaape me paaya lekin un ki khidmat nahi kiya ki jannat me chala jaata.(Sahi Muslim,Hadis No.2551)