Isko samjhane ke liye main aap ko chhoti si kahani sunane jar aha hoon. Ek Shopkeeper tha jo allah ki bahut khidmat karta namaaz padhta quran padhta aur khoob dua mantga rahta Lekin phir bhi uske ghar me naahi barkat aati aur naahi saanti rhati. Iska matlab ye tha ki allah uski dua Qabool nahi kar rha tha.Lekin Sawal ye hai ki allah uski dua Qabool kyon nahi kar raha tha.
Ye janne se pahle hume ye pata hona chahiye ki dua kisse kahte hai ? Us Shopkeeper Shop kisi sumsaan jagah par thi. waha aur koi shop nahi thi iseliye wo logo se wajib(fix)
rate se jayada paise leta tha logo ko majbooran usse saman lena padta tha. Iseliye log use khoob baddua dete the. Jisko itne baddua mile uski dua kaise Kabul hogi.
Yahi wo cheez hai jo hum bhul jaate hai logo ki dua. Agar koi hamare liye dua karta hai aur phir hum dua maangte hai tab hamari dua Qabool ho jaati ab aap bhi samahj gaye honge ki main kya kahana chah raha ho.