Hajj Wo Rukne Islam Hai Jo Sirf Us Muslman Par Zindagi Me Ek bar Farz Hai Jo Is Ki Istat’at Rakhta Ho Is Ki Farziyat Ka Inkaar Karne Wala kafir Hai Is Azeem Ibadat Ki Sa’adat Bar Bar Naseeb Nhi Hoti Aksar Logon Ko Zindgi Me Hajj Ka Ek Hi Bar Mauka Milta Hai Agar Khuda na khawsta Us Me Koi Khami Ya Naqs Waqai Ho Jae To Sakht Mahroomi Aur Zindagi Bhar Ka Pachtawa Ho.
Is Liye Safar E Hajj Se Pahle Hi Us Ke Ahkaam wa Masail Achhi Tarah Seekh Lena Chahiye Taaki Hajj e Mabroor Ki Sa’ adat Hasil Ho Ki Hajj E Mabroor Hi Ke Bare Me *Rasool ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺍﻟﮧ ﻭﺳﻠﻢ* Ki Uska Sawab Jannat Hi Hai.Kisi Bhi Ibadat Ko *Allah ﷻ* Ki Baargah Me Maqbool Hone Ki Bunyaadi Shart Ye Hai Ki Wo Allah Wa *Rasool ﷺ*
Ke Btaye Hue Tarike Par Ki Gayi Ho.Jab Hum Kisi Ibadat Ke Ahkam Aur Tarike Se Waqif Hi Na Ho To Humare Liye Ye Mumkin Hi Nahi Ki Hum Us Ibadat Ko Kama Haqqan Kamil Tarike Se Ada Kar Saken Aur Na Hi Hum Ye Jaan Sakte Hai Ki Is Ibadat Ki,
Adayegi Me Humse Kya Kotahiyan Aur Galtiya Sarzad Huyen.Lehaza Ye Ashad Zaruri Hai Ki Hum Ibadat Ke Taluq Se Shariate Mutahirah Ke Btaye Hue Tarike Ko Sikhen,
Aur Ibadat Ke Dauran Use Zahen Me Rakhen Aur Hazbe Istat’at Koshish Karen Ki Humari Ibadat *Mustafa Jane Rahemat ﷺ* Ki Taleem Ke Mutabiq Ada Ho Aur Fir Khud Na Khwsta Humse Koi Galti Ho Jae To Isi Ilm Ki Roshni Me Uska Tadraak Kiya Jae.
*Huzoor* *ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺍﻟﮧ ﻭﺳﻠﻢ* Ne Hajj Ke Jo Fazael Bayan Farmaye Hai Wo Usi Waqt Hasil Ho Sakte Hai Jab Hajj Ki Adaegi Ahsan Tarike Se Hogi Aur Agar Ibadat Hi Naqas Ho To Kamil Fazilat Ki Toqah Kaise ?Balki Ibadat Ke Masael Na Sikhna Aur Allah Aur *Rasool ﷺ*
Ke Bataye Hue Tarike Ke Khilaaf Ibadat Karna Allah Wa Rasool Ko Naraz Karna Aur Gunah Wa Musibat Me Mubtla Hona Hai.Wo Log Jo Hajj Wa Umra Ka Irada Rakhte Ho Unko Chahiye Ki Wo Is Kitab Ka Bagoor Mutalah Karen Aur Haj Wa Umra Ke,
Tamam Masael Zahen Nasheen Farma Le.Mukhtalif Duwaen Jo Is Kitab Me Naqal Ki Gayi Hai Wo Bhi Ho Sake To Yaad Kar Le.Duwaen Yaad Na Ho To Pareshan Wa Fikar Manad Na Ho Balki Har Mauke Par Darood Shareef Pdhe Ki Tamam Duwaen Se,
Bahter Wa Afzal Hai.Aur Agar Maysar Ho To Kisi Sunni Aalime Deen Ke Hajj Ke Tarbeeti Program Me Shareek Ho Kar Apni Maloomaat Pukhta Kar Len Taaki Hajj Kamil Tarike Se Ada Ho Sake Aur Aap Hajj Ke Faizan Wa Barkat Se Mustafid Ho.