Surah Yaseen ko Qur’an Majeed ka Dil bhi kaha jata hai. Alag-alag mumualiq mein alag alag talaffuz se Surah Yasin Sharif pukari jati hai. Maane iske ek jaise hi hai. Misal ke taur par Kahin Surat Yasin, Sourate Yasin ya fir Surah Yaseen. Aj ham is post mein Surah-e-Yaseen Shareef ke alhaida-alhaida amal-o-wazaif ke barein mein guftgoo karenge Insha ALLAH.
Surat yaseen ko Qur’an Shareef ka dil kaha gaya hai ye har momin ko malum hai. Agar koi shakhs rozana is paak ayat ki tilawat karta hai to us shakhs ko bahut se faiz aur savab pahuchega Insha ALLAH. Hadees Shareef mein Surat Yaseen ke kayi fazail beyan kiye gaye hain. Jaise:
- Chaar Qur’an Parhne Ka Aala Savab-Jis kisi shakhs ne ise ek bar parha use Insha ALLAH char Qur’an Shareef parhne ka savab milega.
- Qubooliyat Hajat Ke Liye Behatreen Amal-Ata bin Abi Rabah RadiALLAHU Anhu se riwayat hai ke Hazrat Mu’hammad SallALLAHU Alayhe Wasallam ne farmaya, “Jo shakhs rozana din ke aghaaz mein Surah Yaseen parh le uski tamam haajatein puri hongi.”
Shadmani/Khushiyan Hasil Karne Ka Karishmayi Amal
-Jo shakhs ba-wuzu Surat Yaseen ko din ke shuruati hisse mein parhega, wo raat tak Insha ALLAH khush-o-khuram rahega.
-Aur jo koi shakhs shuru raat mein ise parhega wo subah tak khush-o-khuram rahega.
-Rozana kisi ek namaz ke baad bhi Surat Yaseen ki talawat ki ja sakti hai.