Duniya bzahir bara pur ronaq maqam hai. Lekin is ka aib yeh hai keh yahan ki har cheez ki koi nah koi intahaa hai. Anqareeb aik din aisa aaye ga keh jab duniya ki tamam rangeeniyan khatam ho jaien gi. Duniya ki khoubsurti par zawal aajay ga.
Duniya ujrre hue chaman ki tarhan weraan ho jaye gi. Barray barray pahar bikhar jayen gey aur dhuni hui rouyi ki terhan parwaaz karte hon ge. Aalishaan mahlaat toot phoot jayen gey. Chamakate hue setaaray apni jagah chore den ge.
Sooraj aur chaand ki roshni madham par jaye gi. Zameen chaand aur sooraj ke gul honay ki wajah se tareek ho chuki hogi. Samandar sulghaye jayen ge. Zameen aisay thar tharaye gi keh kabhi nah thartharai hogi. Zameen apna boojh bahar pheink day gi.
Aasman phatt kar beh jaye ga. Aik ajeeb samaa hoga. Haal yeh hoga keh doodh pilanay wali apne doodh peetay bachay ko bhool jaye gi. Aesi tabahi mache gi keh الْامان والحفیظ. Esi ko qayamat ka din kehte hain. Esi ko hasrat aur pashemani ka din kehte hain.
Isi ko hisaab o kitaab aur sawal o jawab ka din kehte hain. Esi ko zalzalay aur tabahi ka din kehte hain. Isi ko waqay honay aur dil dehla dainay ka din kehte hain.
Esi ko tharthara diye jane aur ulat diye jane ka din kehte hain. Allah pak hamein uss din ki tayari karne aur khoob khoob naik aamaal baja laane ki tofeq ataa farmaiye.
Quran e kareem mein qayamat ko mukhtalif naamon se bayan kiya gaya hai, Qayamat ke taqreeban 100 se zayed naam hain, !Qayamat par imaan rakhna bohat zurori hai, Kyun keh yeh aqeedah musalman ke bunyadi aqaed aur zaruriyat e deen sey hai.
Zaruriyat e deen islam ke woh ahkaam hain, jin ko har khaas o aam jantay hon, jaisay Allah pak ki wahdaniyat ( Yani Us ka aik hona ), Anbiya-e karaam علیھم السلام ki nabuwat, namaz, rozay, hajj, jannat, dozakh, qayamat mein uthaya jana, hisaab o kitaab lena waghera un par imaan laaye baghair koi musalman nahi ho sakta.
Es ka haqeeqi ilm to Allah pak aur Allah pak ki ataa se us key Habib ﷺ ko hai, Lekin quran-e kareem aur ahadees mubarikah mein qayamat qaim honay ki kayi alamaat bayan farmai gayi hain, Un alamaat ka zahir hona qayamat ke jald anay ki nishandahi karta hai, Aindah aanay wali tahreeron mein hum qayamat ki alamaat ke baray mein jaanen gey.