Surah yaseen sharif ko qur,an ka dil kaha gaya hain.aur bepanah faaeday ka hamil hain.har tarha ki haajat rawayi eski tilawat se hoti hain.aur khas esay parhnay se ALLAH taala bahot razi hota hain.ahadis me eskay bahot fawaaed aaye hain. darmi sharif ki hadis hain ki jo aadmi din k shuru me surah e yaseen pahaega uski tamaam zarooriat puri kar di jaegi.hazrat ibn abbas radiallahu anho se rivayat hain ki,
NABI E KAREEM sallallahu alayhi w sallam ne farmaya ki meri tamanna hain ki ye surah(yaseen) har ummati k dil me hoti.yaseen shrif parhnay se din duniya ki bhalayiya naseeb hoti hain.
agar koi shakhs surah e yaseen ko fajr ki namaz k b,ad ek martba parhnay ka mamool banalay to wo bahot jald logo me har dil azeez ho jaen.uski izzat me bepanah ezafa ho.
har tarha ki burayi khatm ho jaen aur tabiyat acchayi ki tarf maael ho.shaitan se mahfooz ho,bala se door ho,bimariyon se shifa ho,nek aulad hogi.qaidy kasrat se parhay to rihayi naseeb ho,garz ki yaseen sharif ki tilawat se har aarzoo puri hoti hain.